Mithi si thand mai dedi Pyar ki Chadar
unko,
Pyar beshumar karte magar bharni thi apni gagar unko,
Jitna Manga de dia chand-o-chaand tare
unko,
Abhi bhi khatam nhi hui Pyas ab kya saki du unko.......
Monday, 19 May 2014
Shayrana Andaz....
Thursday, 8 May 2014
Shayri
Bhool hai zindgi teri ki mai samazdar hu,
Dikhava hai mera mai sirf akhbaar hu,
Padkar matt dekhna mai khabardaar hu,
Dekho Sunoo muje mai Pee rha hu,
Bina khabar tou mai bhi Bekar hu........
Monday, 5 May 2014
SHAYRI
Dil Dosti Dariya sahil sare pagal hain mere ,
mai pagal hu dunia ka baki pagal mere,
diwangi na churao itni ki dillagi bhuladu,
Chott matt do itni ki duniaa jaladu......
Wednesday, 23 April 2014
Sunday, 20 April 2014
BANVADO KOI CHASHMA HUMARA
BANVADO KOI CHASHMA HUMARA
Itrati ithlati balkhati sharmati jati thin vo nikal,
Hum bhi purane ashiq dekhte hi dil jata tha machal,
Vo door se dekh kar kardia karti thin ishara,
Humare door ki nazar thi kharab,
Usi ne karva rakha tha kabada...
Buss Yahi Manga karta tha logo sey,
Koi tou banvado CHASHMA humara....
Ab door se na kaam chalta tha, vo karti bhi thin ishara tou na pata chalta tha,
Abb jab milegi tabhi bataengai,
Kasam chashme ki door vale lens lagaengai..
Chashme ki chadar ne dhak dala hai pyar humara,
Hota nhi hai deedar yun yovan tumhara,
Karti hain tumhari Sahelian fusfusahat hume dekh kar,
Keh dena banne pada hai chashma humara,
Dekh lenge bahane se unhai bhi fir door sey,
Ek bar bann jane do chashma humara,
Suno aaj aaye hain ban kar k navab saab,
Aaj hoga pakka apka deedar janab,
Tum aaj piche rehna apne gutt mai, aage rakhna apni sahelio ka selaab,
Lo
Jab lagaya door ka chashma humne,
Nazar aaya naya nazara nazar mai,
Vo hume nhi humare saathi ko dekha karti thin,
Humari tou hume aankhen dhokha karti thin,
Sitam hua naya chashma humara,
Isse tou vahi purana sahi tha bechara,
Usse Kam se kam aankho ko tou tari thi,
Vo badsurat ladki lagti fulzadi thi,
Ab na naye chashme ki fikar hai na zhanzhat tumhara,
Banvado koi vahi chashma humara......
Saksham
8909447788

© 2014 saksham
Wednesday, 9 April 2014
Shayri by saksham
Roshni kafi hai teri magar roz nikla karo,
Majboori kafi hai teri magar roz nikla karo,
muje pata hai tumhe grahan ka darr hai,
magar ujala dene k bahane roz nikla karo....
Monday, 7 April 2014
Maa.. Tu Bohat Pyar Karti hai maaaaa
Tu bohat Pyar karti hai,
Tere dil ka tukda hu mai,
Teri har dhaant ka ansu hu mai,
Teri khushio ki chadar hu mai,
Teri bhari hui gagar hu mai maa
Tu bohat Pyar karti hai maaaaa....
Maa...
Mai bhi bohat Pyar karta hu,
Tuzpar jaa nisar karta hu,
Kehte hain tere palne ka badla iss jivan mai na chuka paunga,
Lekin koshish karunga tuje paal pau maa...
Mai bhi bohat Pyar karta hu,
Tuzpar jaa nisar karta hu,
Kehte hain tere palne ka badla iss jivan mai na chuka paunga,
Lekin koshish karunga tuje paal pau maa...
Maa...
Meri galtiyo ki mafi hai,
Meri jivan ki rakhi hai,
Meri har kami ko karti puri hai,
Maa bata kahan reh jati meri duri hai,
Tu kis baat se darti hai maa,
Tu bohat Pyar karti hai maaaaa....
Meri galtiyo ki mafi hai,
Meri jivan ki rakhi hai,
Meri har kami ko karti puri hai,
Maa bata kahan reh jati meri duri hai,
Tu kis baat se darti hai maa,
Tu bohat Pyar karti hai maaaaa....
Maa...
Kehta hu bade hokar nibhaunga vaada sara,
Jivan tou hoga tera par mai hounga teri aankho ka Tara,
Dikhaunga dunia ko jo kehte thai zamane ko,
Kese paal paogai apni maa ko,
Abey taiyari puri hai jivan kya puri zamidari uski hai,
Uska naam chalega mere marne k baad bhi,
Ab tou mere bima ki nomini ki nisari bhi uski hai...

Pyar karti tu itna koi baccha kese bhulaega,
Aayega aayega Uska bhi baap banne ka samay aayega,
Usse abhi samaz nhi hai tere pyaar ki,
Jab apni hogi aulaad tou samaz jaega,
Tu itna pyar karne k baad kisse darti hai maa,
Muje pata hai,
Tu bohat Pyar karti hai maaaaa....
SAKSHAM

Subscribe to:
Posts (Atom)