Wednesday, 23 April 2014

Shayri by saksham

      Bankar hakikat bikk jata hai zamana,
      Thikana nhi hota saman ka zhuk jata hai
      Zamana,
      Loot lete hain log iss kadar ishq k bazar
      Mai,
      Thagg kar yaad aata hai mehkhana ....

Sunday, 20 April 2014

BANVADO KOI CHASHMA HUMARA


BANVADO KOI CHASHMA HUMARA 

Itrati ithlati balkhati sharmati jati thin vo nikal, 
Hum bhi purane ashiq dekhte hi dil jata tha machal, 
Vo door se dekh kar kardia karti thin ishara, 
Humare door ki nazar thi kharab, 
Usi ne karva rakha tha kabada... 
Buss Yahi Manga karta tha logo sey, 
Koi tou banvado CHASHMA humara.... 

Ab door se na kaam chalta tha, vo karti bhi thin ishara tou na pata chalta tha, 
Abb jab milegi tabhi bataengai, 
Kasam chashme ki door vale lens lagaengai.. 

Chashme ki chadar ne dhak dala hai pyar humara, 
Hota nhi hai deedar yun yovan tumhara, 
Karti hain tumhari Sahelian fusfusahat hume dekh kar, 
Keh dena banne pada hai chashma humara, 
Dekh lenge bahane se unhai bhi fir door sey, 
Ek bar bann jane do chashma humara, 

Suno aaj aaye hain ban kar k navab saab, 
Aaj hoga pakka apka deedar janab, 
Tum aaj piche rehna apne gutt mai, aage rakhna apni sahelio ka selaab, 
Lo 
Jab lagaya door ka chashma humne, 
Nazar aaya naya nazara nazar mai, 
Vo hume nhi humare saathi ko dekha karti thin, 
Humari tou hume aankhen dhokha karti thin, 

Sitam hua naya chashma humara, 
Isse tou vahi purana sahi tha bechara, 
Usse Kam se kam aankho ko tou tari thi, 
Vo badsurat ladki lagti fulzadi thi, 
Ab na naye chashme ki fikar hai na zhanzhat tumhara, 
Banvado koi vahi chashma humara...... 


Saksham 
8909447788 

© 2014 saksham 

Wednesday, 9 April 2014

Shayri by saksham

Roshni kafi hai teri magar roz nikla karo,
  Majboori kafi hai teri magar roz nikla karo,
muje pata hai tumhe grahan ka darr hai,
magar ujala dene k bahane roz nikla karo....

Monday, 7 April 2014

Maa.. Tu Bohat Pyar Karti hai maaaaa

Maa...
Tu bohat Pyar karti hai,
Tere dil ka tukda hu mai,
Teri har dhaant ka ansu hu mai,
Teri khushio ki chadar hu mai,
Teri bhari hui gagar hu mai maa
Tu bohat Pyar karti hai maaaaa....
Maa...
Mai bhi bohat Pyar karta hu,
Tuzpar jaa nisar karta hu,
Kehte hain tere palne ka badla iss jivan mai na chuka paunga,
Lekin koshish karunga tuje paal pau maa...
Maa...
Meri galtiyo ki mafi hai,
Meri jivan ki rakhi hai,
Meri har kami ko karti puri hai,
Maa bata kahan reh jati meri duri hai,
Tu kis baat se darti hai maa,
Tu bohat Pyar karti hai maaaaa....
Maa...
Kehta hu bade hokar nibhaunga vaada sara,
Jivan tou hoga tera par mai hounga teri aankho ka Tara,
Dikhaunga dunia ko jo kehte thai zamane ko,
Kese paal paogai apni maa ko,
Abey taiyari puri hai jivan kya puri zamidari  uski hai,
Uska naam chalega mere marne k baad bhi,
Ab tou mere  bima ki nomini ki nisari bhi uski  hai...
Maa...
Pyar karti tu itna koi baccha kese bhulaega,
Aayega aayega Uska bhi baap banne ka samay aayega,
Usse abhi samaz nhi hai tere pyaar ki,
Jab apni hogi aulaad tou samaz jaega,
Tu itna pyar karne k baad kisse darti hai maa,
Muje pata hai,
Tu bohat Pyar karti hai maaaaa....



SAKSHAM 
8909447788

Saturday, 5 April 2014

SHAYRIYA by saksham

''Labz shant yuhi nhi hain, kuch tou baat hai,
  Abhi kuch hua hi nhi, buss shuruat hai,
  Dhere Dhere pata chale kismat kahan le jaegi,
  Intezar hai Jab log kahenge wahh kya baat  hai...
..

Friday, 28 March 2014

KUCH KHASS HOTI HAIN... LADKIYA...

...................LADKIYA..................
KUCH KHASS HOTI HAIN LADKIYA....


..Samazdar,sulabh,sishtachar hoti hain LADKIYA
..Gurutatv ki sacchhi pehchaan hoti hain LADKIYA
..Maa ki dulari Baba ki agyakar hoti hain LADKIYA
..KUCH KHASS HOTI HAIN LADKIYA..

Dusre ki aangan ki shaan hoti hain ...
Purey desh ka jab maan hoti hain...
Drann nischaya or abhimaan hoti hain...
Aaj seemao par suvabhiman hoti hain...
Un sey poocho jinki pehchaan hoti hain LADKIYAA...
KUCH KHASS HOTI HAIN LADKIYA...

Jivan ki rachna ki lakir hoti hain,
Rani laxmibai ki tarah veer hoti hain,
Hum sab k jivan ki takdeer hoti hain,
Apno se apno tak ki zanjeer hoti hain LADKIYAA...
KUCH KHASS HOTI HAIN LADKIYA...

Angan main Payal ki zhankar hoti hain,
Sharam haya jivan adhura pyar hoti hain,
Palne se lekar Paalne tak hoti hain,
Zamane matt dekh dohri nigaho sey.....
Kisi k makan ko Ghar banane vali hoti hai..
LADKIYA
KUCH KHASS HOTI HAIN LADKIYA

(SAKSHAM)

Monday, 17 March 2014

Ashiq ki awaaz

Dunia janti hai iss diwane ka dil nazuk hai, fir bhi hasinae khelne se nhi manti hain..